Experience The NoBrokerHood Difference!

Set up a demo for the entire community

Thank You For Submitting The Form
Q.

Main Fatehpur, Uttar Pradesh me rahta hoon, Hamare ghar ka electricity bill meri maa ke nam pe aata hai. Main use apne naam pe karana chahta hoon. Iske liye mujhe kya karna hoga?

view 402 Views

1 Answers

4 months

Comment

whatsapp [#222222128] Created with Sketch. Send
0 2024-08-27T18:02:49+00:00

Namaste, aap UPPCL ki website par jaa kar electricity connection apne naam karva sakte hain. 

Iske liye aapko nimnlikhit kadam uthane honge.

  1. Pehle aap UPPCL ki website par jaa kar log in karein. 

  2. Aap dashboard mein jaa kar naam badalne ki application ke Process ke button par click kare.

  3. Fir aapko application form bharna hai. Iske alava aapko kuch dastavez bhi jama karne honge. 

  4. Iske baad aap processing fee jama karein. Fir website arzi ki jaanch karega aur site feasibility report daalega.

  5. Aapko feasibility report download karni hai aur UPPCL dwara batayi gayi raashi jama karni hai. Yadi connection se judi koi raashi bakaya hai to aapko vo bhi bharni hogi.

  6. UPPPCL dwara jari kiya gaya order download karein jisme connection mein naam badalne ki jaankari hogi.

  7. Iske baad aap apni arzi ki stithi email aur SMS ke dwara dekh skate hain.

Asha hai isse aapki madad hogi. 

Apna Bijli Ka Bill Jama Karein NoBroker Dwara aur Paise Bachaye Cashback Dwara! Isse sambandhit Jaankari:

How to Change the Electricity Meter Name?

 

Most Viewed Questions

Recently Published Questions

Flat 25% off on Home Painting
Top Quality Paints | Best Prices | Experienced Partners